Sunday, June 24, 2007

MIRZA GHALIB

Mirza Azadullah Khan Ghalib...
He needs no introduction. If you still need one, read it in his own words...
''hai aur bhi duniya mein sukhanwar bahut ache!
kahte hain ki Ghalib ka hai andaz -e- bayan aur!!"

Sharing some of his famous ghazli -shers here.....

"ragon mein daudte phirne ke hum nahin khayal,
jub aankh hi se na tapka tho phir lahoo kya hai?"

"hazaron khwahishen aise ki har khwahish pe dum nikla,
bahut nikla mere arman, phir bhi bahut kum nikla"

"khaasid ke aate aate, khat ik aur likh rakhun,
mein jaanta hum jo woh likhenge jawaab mein!"

"kab se hum, kya bataawun jahaan mein kharaab mein,
shab ka ye hijr ko bhi rakhun gar hisaab mein!"

"tha phir na intezaar mein, neend aaye umr bhar,
aane ka eh.d kar gaye, aaye jo khwaab mein!"

"ghalib chuti sharaab, par ab bhi kabhi kabhi,
peeta hun roz-e-shab-o-mahtab mein!"

"huyi muddat ke ghalib mar gaya, par yaad aata hai,
woh har ik baat pe kehna ki yun hota tho kya hota?"

"yeh na thi hamari kismat, ke visaal-e-yaar hotha,
agar aur jeete rehte, yehi intezaar hotha!"

"kahun kis se mein ki kya hai, shab-e-gham buri bhala hai,
mujhe kya bura tha marne, agar ek bhar hotha!"

"koyi mere dil se pooche, tere teer-e-neem-khash ko,
yeh khalish kahan se hoti, jo jigar ke paar hota!"

that's all for today guys. i'll update this soon....

No comments: