Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuch to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mehroom
ae raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummeedein
ye aakhri shammein bhi bujhaane ke liye aa
'Ashaar' by Talib Baghpati:
maana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa.
No comments:
Post a Comment